Ghazal
Hawa Jab Tez Chalti Hai To Patte Toot Jate Hai
Hawa Jab Tez Chalti Hai To Patte Toot Jate Ha
Musibat Ke Dino Mein Acche-Acche Toot Jaate Hai
Bahut Majboor Hai Ham Juth To Bola Nahi Jat
Agar Sach Bolte Hai HamTo Risthe Toot Jate Hai
Bahut Musqil Sahi Phir Bhi Mijaj Apna Badal Lo Tum
Lachak Jinme Nahi Hoti Tane We Toot Jaate Hai
Bhale Hi Der Se Aaye Magar Wo Waqt Aata Hai
Haqiqat Khul Hi Jaati Hai Mukhote Too Jate Hai
Abhi Duniya Nahi Dekhi Abhi Eo Pucthe Hai Ye
Kisi Ka Dil Kisi Ke Khawab Kaise Toot Jate Hai
‘Tushar’ Itna Hi Kya Kam Hai Tumhe Wo Dekthe To Hai
Agar Kuch Roshni Ho To Andhere Toot Jate Hai.
Nityanand “Tushar”