Chalne Ka Hausla Nahin Rukna Muhaal Kar Diya
chalne ka hausla nahin rukna muhal kar diya
ishq ke is safar ne to mujh ko niDhal kar diya
ai miri gul-zamin tujhe chaah thi ik kitab ki
ahl-e-kitab ne magar kya tira haal kar diya
milte hue dilon ke biich aur tha faisla koi
us ne magar bichhaDte vaqt aur saval kar diya
ab ke hava ke saath hai daman-e-yar muntazir
banu-e-shab ke haath men rakhna sambhal kar diya
mumkina faislon men ek hijr ka faisla bhi tha
ham ne to ek baat ki us ne kamal kar diya
mere labon pe mohr thi par mere shisha-ru ne to
shahr ke shahr ko mira vaqif-e-hal kar diya
chehra o naam ek saath aaj na yaad aa sake
vaqt ne kis shabih ko khvab o khayal kar diya
muddaton ba.ad us ne aaj mujh se koi gila kiya
mansab-e-dilbari pe kya mujh ko bahal kar diya
چلنے کا حوصلہ نہیں رکنا محال کر دیا
عشق کے اس سفر نے تو مجھ کو نڈھال کر دیا
اے مری گل زمیں تجھے چاہ تھی اک کتاب کی
اہل کتاب نے مگر کیا ترا حال کر دیا
ملتے ہوئے دلوں کے بیچ اور تھا فیصلہ کوئی
اس نے مگر بچھڑتے وقت اور سوال کر دیا
اب کے ہوا کے ساتھ ہے دامن یار منتظر
بانوئے شب کے ہاتھ میں رکھنا سنبھال کر دیا
ممکنہ فیصلوں میں ایک ہجر کا فیصلہ بھی تھا
ہم نے تو ایک بات کی اس نے کمال کر دیا
میرے لبوں پہ مہر تھی پر میرے شیشہ رو نے تو
شہر کے شہر کو مرا واقف حال کر دیا
چہرہ و نام ایک ساتھ آج نہ یاد آ سکے
وقت نے کس شبیہ کو خواب و خیال کر دیا
مدتوں بعد اس نے آج مجھ سے کوئی گلہ کیا
منصب دلبری پہ کیا مجھ کو بحال کر دیا
PARVEEN SHAKIR