Poetry

Aahat Si Koe Aye To Lagta Hai Ki Tum Ho

Aahat Si Koe Aye To Lagta Hai Ki Tum Ho

Saaya Koe Lahraye To Lagta Hai Ki Tum Ho

jab shāḳh koī haath lagāte hī chaman meñ

sharmā.e lachak jaa.e to lagtā hai ki tum ho

sandal se mahaktī huī pur-kaif havā kā

jhoñkā koī Takrā.e to lagtā hai ki tum ho

oḌhe hue tāroñ kī chamaktī huī chādar

naddī koī bal khaa.e to lagtā hai ki tum ho

jab raat ga.e koī kiran mere barābar

chup-chāp sī so jaa.e to lagtā hai ki tum ho

آہٹ سی کوئی آئے تو لگتا ہے کہ تم ہو

سایہ کوئی لہرائے تو لگتا ہے کہ تم ہو

جب شاخ کوئی ہاتھ لگاتے ہی چمن میں

شرمائے لچک جائے تو لگتا ہے کہ تم ہو

صندل سے مہکتی ہوئی پر کیف ہوا کا

جھونکا کوئی ٹکرائے تو لگتا ہے کہ تم ہو

اوڑھے ہوئے تاروں کی چمکتی ہوئی چادر

ندی کوئی بل کھائے تو لگتا ہے کہ تم ہو

جب رات گئے کوئی کرن میرے برابر

چپ چاپ سی سو جائے تو لگتا ہے کہ تم ہو

JAAN NISAR AKHTAR

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button