GhazalPoetry

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain

so us ke shahr men kuchh din Thahar ke dekhte hain

suna hai rabt hai us ko kharab-halon se

so apne aap ko barbad kar ke dekhte hain

suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki

so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain

suna hai us ko bhi hai sher o sha.iri se shaghaf

so ham bhi mo.ajize apne hunar ke dekhte hain

suna hai bole to baton se phuul jhaDte hain

ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain

suna hai raat use chand takta rahta hai

sitare bam-e-falak se utar ke dekhte hain

suna hai din ko use titliyan satati hain

suna hai raat ko jugnu Thahar ke dekhte hain

suna hai hashr hain us ki ghazal si ankhen

suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain

suna hai raat se baDh kar hain kakulen us ki

suna hai shaam ko saa.e guzar ke dekhte hain

suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai

so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain

suna hai us ke labon se gulab jalte hain

so ham bahar pe ilzam dhar ke dekhte hain

suna hai aa.ina timsal hai jabin us ki

jo saada dil hain use ban-sanvar ke dekhte hain

suna hai jab se hama.il hain us ki gardan men

mizaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain

suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkan men

palang zaviye us ki kamar ke dekhte hain

suna hai us ke badan ki tarash aisi hai

ki phuul apni qaba.en katar ke dekhte hain

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murad nahin

ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain

bas ik nigah se luTta hai qafila dil kā

so rah-ravan-e-tamannā bhī Dar ke dekhte hain

suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht

makin udhar ke bhi jalve idhar ke dekhte hain

ruke to gardishen us ka tavf karti hain

chale to us ko zamane Thahar ke dekhte hain

kise nasib ki be-pairahan use dekhe

kabhi kabhi dar o divar ghar ke dekhte hain

kahaniyan hi sahi sab mubalghe hi sahi

agar vo khvb hai tabir kar ke dekhte hain

ab us ke shahr men Thahren ki kuuch kar jaa.en

‘faraz’ aao sitare safar ke dekhte hain

سنا ہے لوگ اسے آنکھ بھر کے دیکھتے ہیں

سو اس کے شہر میں کچھ دن ٹھہر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے ربط ہے اس کو خراب حالوں سے

سو اپنے آپ کو برباد کر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے درد کی گاہک ہے چشم ناز اس کی

سو ہم بھی اس کی گلی سے گزر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے اس کو بھی ہے شعر و شاعری سے شغف

سو ہم بھی معجزے اپنے ہنر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے بولے تو باتوں سے پھول جھڑتے ہیں

یہ بات ہے تو چلو بات کر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے رات اسے چاند تکتا رہتا ہے

ستارے بام فلک سے اتر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے دن کو اسے تتلیاں ستاتی ہیں

سنا ہے رات کو جگنو ٹھہر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے حشر ہیں اس کی غزال سی آنکھیں

سنا ہے اس کو ہرن دشت بھر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے رات سے بڑھ کر ہیں کاکلیں اس کی

سنا ہے شام کو سائے گزر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے اس کی سیہ چشمگی قیامت ہے

سو اس کو سرمہ فروش آہ بھر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے اس کے لبوں سے گلاب جلتے ہیں

سو ہم بہار پہ الزام دھر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے آئنہ تمثال ہے جبیں اس کی

جو سادہ دل ہیں اسے بن سنور کے دیکھتے ہیں

سنا ہے جب سے حمائل ہیں اس کی گردن میں

مزاج اور ہی لعل و گہر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے چشم تصور سے دشت امکاں میں

پلنگ زاویے اس کی کمر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے اس کے بدن کی تراش ایسی ہے

کہ پھول اپنی قبائیں کتر کے دیکھتے ہیں

وہ سرو قد ہے مگر بے گل مراد نہیں

کہ اس شجر پہ شگوفے ثمر کے دیکھتے ہیں

بس اک نگاہ سے لٹتا ہے قافلہ دل کا

سو رہروان تمنا بھی ڈر کے دیکھتے ہیں

سنا ہے اس کے شبستاں سے متصل ہے بہشت

مکیں ادھر کے بھی جلوے ادھر کے دیکھتے ہیں

رکے تو گردشیں اس کا طواف کرتی ہیں

چلے تو اس کو زمانے ٹھہر کے دیکھتے ہیں

کسے نصیب کہ بے پیرہن اسے دیکھے

کبھی کبھی در و دیوار گھر کے دیکھتے ہیں

کہانیاں ہی سہی سب مبالغے ہی سہی

اگر وہ خواب ہے تعبیر کر کے دیکھتے ہیں

اب اس کے شہر میں ٹھہریں کہ کوچ کر جائیں

فرازؔ آؤ ستارے سفر کے دیکھتے ہیں

AHMAD FARAZ

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button